Reading Score Earn Points & Engage
Non Fiction

Meri Pasand......

The basic human feelings

Mar 11, 2025  |   2 min read

A S

Akansha Singh
Meri Pasand......
0
0
Share
Meri pasand ............

Khud se kuch pal chura kar khud se baat karna kaisi bhi baat bas achha lagta hai achha lagta hai khidki se jhakna shaant ho bas kuch der ekdam chup sa sirf ehsaas ajeeb sa sukoon sochti hu yeh jaise barish ki boonde inn paton ko chu kar guzar jati hai yeh zindagi ke beete waqt bhi toh aise hi guzar gaye na achha lagta hai aise na aise akele khud se baatein karna achha lagta hai yun hi kisi nanhe se bache ko khelte hue dekh usme apne bachpan dhundhana kuch pyari natkhat yaadon mein kho sa jana phir khud ke yaad dila kar waqt aage ho chala hai kaise hum bache ki peeth thapka dete hai na !- pasand hai pyare paudho ko halki si hawa mein lehrate dekhna jaise mai azaad hu saare bandhano se saari zimmedariyon se achha lagta hai na sham ko kuch pal chhat ki munder pe khade hokar suraj ko dhalte hue araam se dekhna achha lagta hai uss umeed namak duniya rachne wale se baat karna achha lagta hai na bas kuch pal zindagi mein ruk Jana theher jana tum bhi thak jate ho na chalte chalte tumhe bhi hai pasand bade se maidan mein khali chalna tumhe bhi pasand hai Nadi kinare baith kar chidiya ko dekhna pasand toh hoga na kuch pal sirf khud ke sath bas mai aur mera ehsaas ...

Ehsaas khud mein khud ko khone ka yaa khud mein khud ko pane ka ehsaas khud ke gham khud ko baatne ka ehsaas kabhi mai aisa kyu hu ?? Kabhi mai hi aisa kyu hu mai khud se kaise hu, kaise hu khud mein ehsaas umeed ka ehsaas kabhi pura hu mai toh kabhi adhurepan ka .... jaisa bhi hai ehsaas hai apne pan ka .......

Ehsaas karna hi toh pasand hai ,aur pasand karna hi humara ehsaas.......

Please rate my story

Start Discussion

0/500