Father is fighter
Story introduction
EK aadmi jiski umar 45 saal hai. Uska nam rudra hai wah delhi mai rehta hai rudra ek chhoti company mai employee hai uski ek beti hai jiski Umar 21 saal hai uski beti ka nam madhu hai wah college ki first year mai hai madhu ki maa bachpan mai hi expire ho gai thi madhu ke papa usse bahut pyar karte hai aur use apni jaan se jyada chahta hai aur rudra apni beti ko roj college chhod ne jata hai aur lene bhi jata hai ek din jab rudra madhu ko lene uske college gaya to usne dekha ki madhu apne kuch dosto ke sath kuch bate kar rhi thi rudra ne Bahut aavaje lagai par madhu ne kuch suna nhi phir kuch der baad madhu car ke pass aai aur boli
Madhu - papa aap kab aa gay
Rudra - mai to bahut der se khada hu aur tume bula bhi rha hu par tumne suna hi nhi
Madhu - sorry papa mai aap ne dosto ke sath bate kar rhi thi isliye mene sun nhi paya.
Aur wah car ka darwaza khol kar car ki undar beth gai rudra ne madhu se poocha
Rudra - beti tum apne dosto ke sath kya bate kar rhi thi.
Madhu - papa ji kajal ka birthday aa rha hai to ham sab uska birthday celebrate karne Mumbai ja rhe hai.
Rudra - to kya tum bhi ja rhi ho unke ke sath.
Madhu - ji ha papa.
Rudra - nhi tum nhi ja rhi ho.
Madhu - par kyo?
Rudra - tume to pata hai na ki mumbai yaha se kitna dur hai aur tum apne dosto ke sath ja rhi ho itni dur waha kon tumhari dekh bhal kare ga aur tumhare sath koi bada bhi nhi ja rha hai.
Madhu - papa ji ab mai badi ho gai hu mai aakeli kahi bhi ja sakti hu.
Rudra - beta tum chahe kitni bhi badi ho jao mere liye chhoti hi rho gi mai tumhe mumbai aakeli nhi jane dunga.
Madhu - papa mai aakeli nhi ja rhi hu mere dost bhi to hai mere sath mai.
Rudra - beta mene mana kar diya na ki tum mumbai nhi ja rhi ho.
Madhu ne car ruk wai aur vah gusse mai car se utar kar chali
gai rudra use rok rha tha par wah nhi ruki rudra bhi car se utara aur madhu ke pichhe bhaga par jab tak madhu bahut dur ja chuki thi rudra aapni car ke pass aa kar khada ho gaya aur madhu ko phone laga ne laga par madhu phone nhi utha rhi thi rudra ne madhu ke dosto ke ghar jakar dekha kahi madhu waha to nhi gai par madhu waha bhi nhi mili rudra ne madhu ke sab dosto ke ghar jakar dekha par madhu nhi mili rudra ka ek muh bola bhai bhi tha usne socha kahi madhu waha to nhi chali gai par madhu waha bhi nhi thi rudra bahut pareshan ho gaya tha aur madhu ko gay hue 10 - 11 ghante ho gay the par madhu mil nhi rhi thi tabhi use ek jagah yaad aai jaha ve dona akshar jaya karte the rudra turant waha gaya aur madhu wahi hi bethi thi aur ro rhi thi rudra ne madhu ko gale laga yaa aur use chup karaya aur bola.
Rudra - beta itni si baat par tum itna gussa ho gai mai tumhari phikar karta hu isliye mana kar rha tha par yadi tumhara jane ka itna man hai to chali jana par aapna khayal rakhna aur kuch problem aay to mujhe call karna.
Madhu khush ho kar boli
Madhu - aap sabse ache papa ho
Aur dono apne ghar aa gay madhu ko subah hi mumbai jana tha isliye wah apni packing kar rhi thi aur rudra bhi uski help kar rha tha packing puri hone ke baad dono ne khana kha ya aur phir dono so gay subah madhu ready ho kar mumbai jane ke liye rudra ke sath station chali gai waha apne dosto ke sath mumbai jane wali train mai beth kar mumbai pahuch gai waha usne apne dosto ke sath khub maje kiye aur ek hotal mai wah sab thehre the ek din ek dost ne kaha ki chalo ham ghumne ke liye pahado mai chalte hai waha bahut maje aayge sab uski baat se sehmat ho gay aur pahado mai ghumne ke liye chale gay waha jakar unhone truth aur dare khela madhu par bottle aakar ruki madhu ne dare liya to dosta ne kaha ki tume wo samne jo ped dikh rha hai waha jakar us ped se ek ladki tod kar lao ped waha se bahut dur tha pehle to madhu ne mana kiya par dosto ne jid ki to madhu ko waha jana pada.
Bahut der ho gai par madhu wapas nhi aai to dosto ne ped ke pass jakar dekha to madhu waha nhi thi sabo ne milkar aas paas bhi dekha par madhu waha nhi thi dosto ne use phone bhi kiya par uska phone nhi lag raha tha dosto ne socha ki sayad madhu hotal chali gai hai isliye we sab hotal pahunche par madhu waha bhi nhi thi phir sab dost pareshan hone lage tab ek dost ne kaha ki sayad wah akeli hi delhi chali gai ho use apne papa ki bahut yaad bhi aa rhi thi sab dost dusre din apne apne ghar chale gay kaphi din ho gay the aur rudra ko apni beti ki bahut yaad aa rhi thi tabhi ek din usne market mai kajal ko dekha kajal ko dekh kar usne kajal se pucha ki
Rudra - tum kab wapas aai aur madhu kaha hai.
Kajal - kya Madhu abhi tak ghar nhi aai
Rudra - nhi wo abhi ghar nhi aai wo to tumhare sath gai thi na phir tumhare sath hi to aay gi
Kajal - uncle ji hame aay hue 4-5 din ho gay hai ham waha ek pahad par gay the madhu waha se hame batay bina hi pata nhi wah kaha chali gai thi aur wo hotal bhi nhi gai thi hamne socha ki madhu ko aap ki bahut yaad aa rhi thi sayad wo wapas ghar chali gai ho isliye hamne use dhunda nhi
Rudra - beta nhi wah abhi ghar nhi pahunchi beta tumhe pata hoga na ki wah kaha gai hai
Kajal - nhi uncle mujhe nhi pata hai yeh keha kar wah waha se chali gai
Rudra bahut pareshan ho rha tha wah bar bar madhu ko phone kar rha tha par madhu ka phone nhi lag rha tha phir usne police station jakar police complete ki police ne kaha ki wah uski beti ko jaldi dhud lege use pareshan hone ki jarurat nhi hai rudra bhi apni beti ko dhund raha tha aur police bhi par madhu kahi nhi mil rhi thi police aur rudra mumbai gay aur waha jakar use dhunda par madhu wah nhi mile police ne rudra ke sath jakar us pahad par bhi use dhunda par madhu waha nhi mili par ek police wale ko waha ek ladki ki lass mili jisne madhu jese hi kapde pahane the aur uski umar bhi lag bag 20 saal thi use jungli janwaro ne buri tarah kha liya tha jisse uski pehchan kar na muskil tha rudra ne jab use dekha to wah pahle to jor jor se rone laga par baad mai wah mana karne laga ki yah uski beti nhi ho sakti lass ko forensic lab le jaya gaya jaha uski DNA jach ki gai DNA report aai to pata chala ki wah madhu nhi hai rudra ko kaha gaya ki wah uski beti nhi hai use pareshan ho ne ki jarurat nahi hai kaphi din ho gay par madhu jab nhi mili to police ne bhi aasha chhod di police ko lag rha tha ki sayad madhu ko jungli janwar kha gay hai aur police ne rudra se wapas delhi jane ko kaha aur ye bhi kaha ki yadi madhu ke bare mai unhe kuch bhi pata chalta hai to wah use batayge aur rudra ko delhi bhej diya gaya. Rudra bahut pareshan ho Raha tha aur bahut ro bhi rha tha use madhu ki bahut phikar ho rhi thi kuch din gujar gaye par police ne rudra ko kuch nhi bataya ek din
rudra police station pahuncha aur gusse se police wale se poocha
Rudra - itne din ho gay hai aap ne madhu ke bare mai kuch nhi bataya ki wah kaha hai aur kesi hai aap use dhund bhi rhe ho ya nhi
Police wale ne chilla kar kaha
Police - Teri beti ko jungli janwar kha gay hai isliye wah nhi mil rhe hai aur galti tumhari hai koi apni beti ko itne dur aakele bhej ta
hai kya aur galti tumhari beti ki bhi hai aur uske dosto ki hai unhe itni khatarnak jagah jana hi nhi tha
Ab wah wapas nhi aay gi wah mar gai hai use janwar kha gay hai
Itna sab sunkar rudra ko bahut gussa aa gaya aur wah us police wale ko jor jor se mar ne laga aur police walo ne aa kar use roka aur police wale ko marne ke liye usse 4 din ki jel bhi ho gai 4 din baad wah jel se chhuta aur wah apne ghar aakar jor jor se rone laga.rudra ka man nhi man rha tha ki uski beti mar gai hai use yakin tha ki wah jinda hai aur jaha bhi hai thik hai tabhi usne t.v par news suni ki mumbai mai abhi tak 55 ladke aur ladkiya la pata hai ye sun kar pata nhi rudra ko kya hua wah utha aur apne kapde pack kiye aur mumbai ke liye ravana ho gaya.
mumbai mai rudra ka ek dost rehta tha jiska nam vivek tha jo ek new reporter tha
Rudra vivek ke ghar pahuncha aur usne vivek se un lapata ladko aur ladkiyo wale case ke bare mai poocha to vivek ne kaha
Vivek - rudra police ko is case ke baare mai kuch nhi pata chala lekin police is case ki investigation kar rhi hai par abhi kuch jyada pata nhi chala hai par tu ye sab kyo pooch raha.
Rudra - meri beti mumbai aai thi apne dosto ke sath par ab wah mil nhi rhi hai kaphi din ho gay hai par abhi tak uske bare mai kuch pata nhi chala hai.
Vivek - rudra tu phikar maat kar teri beti mil jayegi.
Rudra vivek ke ghar se chala gaya wah ek mandir ke samne ja kar beth gaya aur bhagwan se bola ki
Rudra - he bhagwan meri kya galti thi jo aapne mujhe yah saja di apko pata hai na ki mai apni beti ke bina nhi reh sakta hu aapne meri patni ko bhi apne pass bula liya aur ab meri beti bhi nhi mil rhi hai he bhagwan mai kya karu aap hi mujhe koi rasta dikhao.
Wahi pass mai do aadmi bate kar rhe the unme se ek aadmi dusre aadmi se kehe rha tha ki
Bhai meri wife ka kidney ka operation hona hai par koi donor nhi mil rha hai doctor ne kaha hai ki donor milne mai time lagega par itna time meri wife ke pass nhi hai yadi uska jaldi operation nhi hua to wah mar jaygi ab bhai tu hi bata ki ab mai kya karu dusre aadmi ne kaha ki tu kitne paise kharch kar sakta hai wah bola ki paise ki phikar nhi hai paise to bahut hai dusre aadmi ne kaha to bass mere sath chal kidney ka arrangement mai karwa dunga bass kisi ko bata na nhi aur yah kehkar wo dona aage jane lage unki ye sab bate rudra ne sun li thi rudra ko kuch aajiv laga aur wah un dono ke pichhe jane laga wah dono ek ghar ke andar chale gay rudra ghar ke bahar khada ho gaya usne dekha ki ek aadmi ek kursi par betha hai aur uske aas paas 8 - 9 aadmi khade hai un dono mai se dusra aadmi bola ki rahul ise kidney chahiye aur muh mangi kimat dene ke liye taiyar hai
Rudra ne ye sab dekha to use kuch kuch samj aane laga jaha wah khada tha waha ek lohe ki rot rakhi thi usne rot ko uthaya aur undar jakar ladai suru kar di kuch log to bhag gay aur kuch logo ko rudra ne dher kar diya rahul ne rudra ko dhakka mar kar bhag gaya rudra bhi rahul ke pichhe bhaga rahul bahut tej bhag rha tha aur rudra bhi rudra ne rahul ke per mai rot fenk kar mara aur rahul sadak par gir gaya rudra ne use utha ya aur vivek ke ghar le aaya aur vivek ko rahul ke bare mai sab kuch bataya rudra bahut gusse mai tha rudra ne use ek kursi par rassi se bandh diya aur ek chaku lakar uske samne beth gaya aur usse poocha
Rudra - dekh tu jitni jalti apne boss ke bare mai batay ga utna tere liye achchha hoga
Rahul - tu mujhe dhamki de rha hai mai teri in dhamkiyon se nhi darta hu ja kya kar lega kar le mai kuch nhi batane wala.
Rudra ne uska sitha hath pakda aur uski ek ungli kat di rahul jor se chilla ne laga par rudra nhi ruka rudra ne uski dusri ungli kat di phir tisri phir chauthi aur phir pachvi rahul jor jor se chilla rha tha aur bol rha tha ki batata hu rudra ruk gaya rahul ne kaha
Rahul - pahle ham party dhund te hai phir jab party mil jati hai to boss ne hame ek private number diya hai ham uspar message karte hai aur boss ko bata dete hai ki party mil gai hai phir boss usi private number par hame message karte hai ki saman ka box kaha lena hai aur location bhej te hai phir mai location par jata hu waha boss ki gadi aati hai jisme boss aur unke kuch aadmi hote hai boss ke aadmi aate hai aur ek hath se box dete hai aur ek hath se paise lete hai phir chale jate hai.
Rudra - tere boss ka nam kya hai
Rahul - harsha
Rudra - ab meri baat dhyan se sun tu apne boss ko message kare ga aur usse kahega ki mujhe party mil gai hai unhe ek kidney chahiye to kaha aana hai location bhej dena agar tune aur kuch bataya to phir tu samj le tera kya hal hoga aur tu hame apne sath lejay ga location par.
Rahul ne harsha ko message kara aur phir harsha ne location bheji rahul ke hath ki marhm patti karke uske sath jane ke liye taiyar ho gay vivek ne apni car nikali aur vivek ne apne sath apni gun bhi li jise usne rudra ko dedi rahul location par jane laga aur ve dono uska pichha kar rhe the location par pahunch kar rahul waha khada ho gaya vivek ne rahul ko ek khali beg de diya tha jisse kisi ko sak na ho vivek aur rudra thode dur khade ho gay thodi der baad harsha ki gadi aa gai us mai se do aadmi nikle aur ve rahul ke pass aay jese hi we rahul ke pass aay rahul ne chilla kar kaha boss bhago hamare piche kuch log hai bhado ye sun kar we do no jaldi se bhage harsha ne gadi chalu ki aur waha se jane laga rudra ne ye sab dekha to use bahut gussa aa gaya usne apni gun nikali aur rahul ke sar par goli markar we dono car mai beth kar harsha ki gadi ka pichha karne lage harsha ki gadi bahut tej chal rhi thi rudra ne harsha ki gadi ke tayar par gun fair ki par pehli goli chuk gai par dusri goli tayar par lag gai aur gadi ek ped se takra gai we dono aadmi bhage aur unke sath harsha bhi bhaga rudra jaldi se apni gadi se utra aur usne un dono aadmiyo par goli chalai we dono wahi gir gay phir harsha ne bhi rudra par goli chalai ek goli rudra ke pav mai lagi aur dusri hath mai rudra wahi gir gaya harsha bhagne laga rudra ne jaldi apne aap ko sambhala aur uth kar harsha ke pichhe bhagne laga vivek bhi harsha ke pichhe bhag rha tha rudra ne gun fair ki aur ek goli harsha ke per mai lagi aur wah wahi gir gaya rudra ne harsha ke muh mai 4 5 punch mare aur use car mai lekar vivek ke ghar le aaya rudra ne uske hatho ko bandh diya aur ek rot se use pitna suru kiya aur pooch rha tha bata kaha hai meri beti bata kaha hai meri beti bata kaha hai meri beti par usne kuch nhi bataya rudra ruk gaya aur wah diwal mai hol karne wali machine laya usne machine chalu ki aur harsha ke per mai hole kar ne laga harsha chilla rha tha tadap rha tha par khunkhar rudra nhi ruka usne uske per mai 2 - 3 bar machine chalai phir harsha bola
Harsha - mujhe chod de mai tuje sab kuch batata hu
Rudra ruk gaya aur bola chal jaldi bata rudra bola
Harsha - pehle hamare aadmi ladko aur ladkiyo ko kidnap karte college se school se aur kahi sunsan jagah par koi ladka ya ladki milte hai to we unhe kidnap kar lete hai aur phir unhe hamare hospital mai late hai hamara hospital ghane jungle mai hai jaha bahut sare doctor hai ham ladko aur ladkiyo ko waha bhej te hai aur phir doctor unke organ nikal un ladke aur ladkiyo ki body ko wahi jungle mai gad dete hai aur kisi ko kuch nhi pata chalta
Rudra - ye bata meri beti kaha hai
Harsha - teri beti ko bhi kidnap kiya hoga aur hospital bhej diya hoga pata nhi ab teri beti jinda bhi ho gi ya nhi
Rudra ne usme punch marna suru kar diya vivek ne use roka phir rudra shant ho gaya aur phir rudra se poocha
Rudra - tera boss kon hai aur wah kaha uska nam kya hai aur tumhare hospital kaha hai
Harsha - mere boss ka nam rabel hai wo bahut bada gunda hai tu to uske samne kuch nhi hai aur hospital ka pata to mai nhi batane wala tu jo kar sakta hai wo kar le par mai nhi bataunga
Rudra ko bahut gussa aa gaya aur usne harsha ke per mai phir se machine chala na suru ki par is bar wah nhi ruka harsha chilla rha tha par rudra nhi ruka phir harsha kahena la ga batata hu ise rok de vivek ne rudra ko roka harsha bola
Harsha - wah hospital mumbai ke bahar wale jungle mai hai aur harsha ne waha ka address bhi bata diya aur kahene laga waha bahut sare aadmi hai aur unke pass weapons bhi hai tu waha par gaya to tuje to wo sab golio se chhalni chhalni kar dege tu nhi bache ga
Rudra ne harsha ka chaku se gala cat diya vivek ne rudra se kaha
Vivek - rudra ham waha akele nhi jay ge mai police ko bata deta hu ham apne sath police force le jay ge
Rudra ne vivek ki baat man li
Vivek police ke pass gaya aur unhe sab kuch bata diya police ne vivek ki baat par bharosha kiya aur apni police force lekar us hospital ke liye ravana ho gay rudra aur vivek apni gadi se waha pahuch gay rudra ne vivek ki gun li aur jungle mai gush gay aur police rudra se jane ki mana kar rhe the par wah nhi ruka vivek bhi uske sath tha kuch der baad hospital mil gaya police walo ne gun fairing suru kar di aur un gundo ne bhi rudra bhi gun fair kar rha tha kuch police wale bhi ghayal ho gay kuch wahi mar gay rudra ko bhi 2 - 3 goli lag gai thi aur vivek bhi ghayal ho gaya tha gunde jayada the aur police force kam thi isliye force jaldi ghayal ho gai par rudra nhi ruka rudra ne police walo ki ak47 uthai aur gun fairing suru kar di dekh te dekh te sab gunde mar gay rudra hospital mai ghusa to usne dekha ki kai ladke ladkiyan behosh ki halat mai strakcher par lete hai aur doctor unka operation kar rhe hai rudra ne doctoro par bhi fair kiya kuch doctor ghayal ho gay kuch mar gay aur kuch doctor waha se bhag gay jo police wale bache the ve undar aa gay aur un doctoro ko pakad liya aur vivek bhi undar aa gaya
Tabhi rebel bhi waha aa gaya usne gun fairing suru kar di sabhi niche beth gay rudra ne uske per par goli chala di aur rebel wahi gir gaya rudra turant bhaga aur rebel ke muh mai punch marna suru kar diya rudra bahut jor jor se rebel ke muh mai punch mar rha tha rudra ruk nhi raha tha rebel ne rudra par chaku se hamla kiya aur waha se bhagne laga par rudra ne uska per pakad kar use jamin par gira diya aur usme punch marna suru kar diya rebel bahut ghayal ho gaya tha par rudra nhi ruk rha tha vivek ne use pakad kar roka police ne rebel ko pakad liya aur waha ambulance ko bula liya aur sabhi ko hospital bhej diya gaya madhu ka operation hone hi wala tha par wah bach gai kuch ladke aur ladkiyo ki mot bhi ho gai thi rudra aur vivek ko hospital bheja gaya wo do bhi bahut gayal ho gay the madhu ki halat bhi bahut kharab thi jab madhu ko hosh aa gaya tab rudra ko bulaya gaya madhu bahut ro rhi rudra ne use chup karwaya madhu boli
Madhu - papa mai bachapan mai kehe ti thi na ki yadi mai kahi dur chali gai to aap kya karege aap kehte the ki tu kahi bhi hogi mai tujhe dhund hi lunga aap ne mujhe dhund hi liya papa ji
Rudra - tu meri beti hai tu kahi bhi ho gi mai tuje dhund hi lunga maa baap apne bachcho ke liye kuch bhi kar sakte hai beta maa baap apne bachcho ke liye apni jaan de bhi sakte hai aur samay aane par kisi ki jaan le bhi sakte hai
jab madhu aur rudra thik ho gay to mumbai ki police ne rudra ko sammanit kiya aur rudra ne vivek ko thankyou bola aur phir dona delhi chale gay.


