The Blood of the Village Rajasthan apni bhavya virasat aur romanchak kahaniyon ke liye mashhoor hai, lekin yahan ki kuch sachaiyan itni daravni hain ki unpar yakin karna mushkil ho jata hai. Bhangarh kila to pehle se hi bhutiya kisse kahaniyon ke liye prasiddh hai, lekin isse 15 km door ek aisa gaon tha, jiska itihas aur bhi bhayanak tha. Mera naam Vinay hai, aur main ek paranormal expert hoon. Mera assistant Rahul aur main sarkari jaanch ke liye Bhangarh kila aaye the. Hum ek hotel mein rukey, jahan ek room cleaner ki maut ho gayi—jo ki hamare hi room no. 132 mein kaam kar raha tha! Jab hum us jagah pahunchi, ek aur body hamare samne gir gayi, jisme teer ghuse the, aur khoon fountain ke paani se milkar laal ho raha tha. Hum ghabraye hue hotel se nikle, lekin raste mein hamari gaadi band ho gayi. Driver ne kaha ki uska gaon paas hi hai, waha hum raat bita sakte hain. Gaon pahunchte hi humne dekha ki waha mela laga tha, par jaise hi hum andar gaye, sab log hume ajeeb tareeke se ghoorne lage—unke chehre par ek lambi hasi thi. Driver ne hume apne ghar le jaakar bitha diya. Uski maa ek jagah bina hile baithi thi, aur uski beti hamesha muskurati rehti thi. Jab maine usse naam poocha, to usne sirf aankhein badi karke dekha. Maine driver se pucha—"Yeh sab kya hai?" Usne bas muskurakar kaha—"Mehad gaon ki kahani suni hai?"
By subscribing to Kanishk chouhan , you unlock a treasure trove of benefits