Ek ladka tha aneesh , Uske maholle me , Ek ladki thi Teena , Jo apni puri faimly ke sath ,Aneesh ke mohalle me rehne lagi, Aneesh ko pehli hi ,nazer me teena se pyar hogya, Teena ye bat nahi janti thi , ki aneesh use chahta hai man hi man use pasnd karta hai, Aneesh teena ko chhup -chhup kar dekhta tha , use dekhta aur man hi man muskurata tha , par teena se kabhi apne dil ki bat bol nahi paya, ek aise hi kuch sal beet gaye ,aur wo waqt bhi aya jab aneesh ko lga ab mujhe teena se apne dil ki bat bta deni chahiye, aur aneesh apne man me ye sab soch kar teena ke ghar chala jata hai , par teena waha hoti nahi hai , aneesh udaash ho kar wapas ajata hai, aur teena ka intezar karta hai , aj nahi bol paya to kal bol dunga , aur dusre din fir teena ke ghar je bahar intezar karne laga, par teena nahi ayi , aise hi do char din beet gaye aur teena nahi ayi, tab aneesh ko laga uski faimly se puchhna chahiye teena kaha hai , aneesh ye faisla karke teena ke ghar pahuch jata hai aur teena ki mummy se puchhta hai , teena ghar par hai anty ji , kya me usse mil sakta hu ,mujhe uske college ki kuch details chahiye thi , tab teena ki mummy jawab deti hai teena apni masi ke ghar gayi hai aur ab wahi age ki padai completed karegi tab, ye bat sunte hi avneesh udaas ho jata hai aur mayoosh hokar wapas ajata hai , aur kuch samay akele hi rehta hai aur kosis karta hai , teena ki masi ka adreess ya kuch pata lga sake par apne makshad me kamyaab nahi ho pata , aur kuch mahine bad teena ki faimly bhi mohalla chhod kar kahi aur chali jati hai , aur avneesh bhi apne kam kaj me , vyashth ho jata hai , aur ek din fir avneesh apni job ke karan dusre saher jata hai ,aur waha avneesh ki dosti malika se hoti hai, aur dono ki dosti gehri ho jati hai aur ek din malika ke ghar party hoti hai, jisme wo avneesh ko bhi invite karti hai avneesh waha jata hai aur dekhta hai teena ko aur dekhte hi avneesh khush ho jata hai ,par avneesh me ab himat nahi thi teena se bat krne ki , kya bat karunga kya kahu kaise kahu , teena ne shadi na karli ho , avneesh teena se nazre chura rha tha , tab hi teena avneesh ke pas ati hai ,aur avneesh ki tarif karti hai ,aur avneesh se apne dil ki bat bolti hai , jaise tum pehle the waise hi ab bhi ho kuch nahi badla tum me , mujhe isi adat se pyar hai tumhare ,tumhara mujhe dekh kar nazre chhupana dekh kar sarmana aur dekh dekh kar mushkurana , avneesh is bat se anjaan tha ki teena avneesh ko pyar karti thi aur usi time se jab avneesh me himat nahi thi teena se izhar karne ki , fir avneesh ne bhi apne pyar ka izhaar kiya aur dono ne apni apni faimly ko apni love story batayi aur dono ki faimly razi hogyi , aur dono ki shadi karwa di , itne lambe intezar aur ikrar ke bad dono ab sath me bahut khush hai !