Episode 2
Abhi tak apne suna, Shakti jo jodhpur mein ek Welcome tour n travels company mein tour guide ka
kaam karta hai. Ek raat uska dost mohan jo uska sath ek hi company mein kaam karta hain, wo uska ghar
usse milne jata hain aur usse apni jagah kal kaam par janne ki darkhuast karta hai aur kafi der ki bhains
ke baad wo maan jata hai aur agla din Shakti Iccha ko lena airport chala jata hai. Par shakti sath hi
pareshaan bhi ho raha hota hain kyunki Mohan subha se uska phone ka jawab nai de raha tha. Thodi der
baad Shakti ko kisi unknown number se msg aata hai Jisme likha hota hain agar mohan ko zinda dekhna
chahte ho to Iccha ko jaan se maar de!!!!!
Ab Aagey-
"Sound-Traffic ka shorr, Peecha se lagataar Horn baj raha hain"
Iccha awaj laga rahi hain, Shakti..Shakti…Shakti
Shakti bolta hain, Ji Haan..
Iccha Bolti hai, Gadi chalao, Green light ho gayi hain.
Shakti jawab deta hain, Acha ji.
Aur wo gadi lekar agey badhta hain.
Iccha apna phone call cut karti hai aur Puchti hain, Kya ho gaya tha kaha kho gaya tha?
Shakti jawab deta hai, Kahi nahi.
Iccha puchti hain, Acha ab kitni door hain Mehangargh Fort?
Shakti reply karta hain, Bas Agaya. Sirf 1 km door hain.
Iccha jawab deti hain, Acha
Iccha puchti hain, Wesa tumne kaha tak padhai ki hain
Shakti sochta hua jawab deta hain, Aahh.. mena BA se graduation ki hain.
Iccha bolti hain, Good.
Iccha isse phele kuch aur puchti, Shakti ek dum se bolta hain, LO ji apka Mehangargh Fort agaya.
Iccha turant Fort ki aur dekhti hain aur bolti hain, Wow, what a beauty!
Shakti iccha se bolta hain, Mein apko yehi milunga. Jab apka kaam ho jayein to aap mujha phone kar
dena.
Iccha Bolti hain, Thk hain..Mein thodi der mein aati hun..
Iccha ke jate hi. Shakti gadi ko ghumata hain aur Police Station jaane ki sochta hain. Tabhi uska phone
bajta hain.
(Gadi rukna ki awaaz aur sath mobile bajne ki awaaz)
Shakti darte hua phone uthakar bolta hai, He..lloo..
5 second ke baad
Computerized voice se jawab atta hain, Police complain karoge, Dost se pyaar nahi hain kya?
Shakti ghabrate hua jawab deta hain, Nahi- Nahi ,mera dost ko kuch mat karna please…
Computrised voice jawab deti hai, To phir karo jo kaha hain. Tumhara pass raat tak samay hain aur agar
Iccha zinda flight mein vapas chali gayi na to apne dost ko bhul jana.
Shakti jawab deta hain, Nahi-Nahi, Par mein aisa nahi kar sakta , mena kabhi kisi ko nahi mara. Aap hum
dono ko chod do please. Hum kisi se kuch nai khayenge.
Computerized voice jawab deti hain, Har kaam kabhi na kabhi pheli baar to karna hi padta hain. Ye
kaam tum apni dost ki jaan bachane ke liya kardo.
Shakti puchta hain, Par aap ye kaam mujse hi kyu karwana chahte hain.
Computerized voice, Lucky draw mein tumhara hi naam nikla hain isliya. Ab jayada sawal nai, jo kaha hai
wo karo aur agar nahi kar payein toh ye pakka hain ki tumhara dost kal ka sooraj nahi dekhega!
Call Cut Ho Jati haii aur shakti Hello…Hello..Hello karta rehta hain.
Shakti Dubara call lagata hain par phone unreachable ata hain…
Shakti soch hi raha hota hain ki ab kyaa karein. Itna mein Iccha ka phone atta hain
Iccha bolti hain, Mein bahar arahi hu, tum muja 5 min mein gate ke pass milo.
Shakti jawab deta hain, Thk ha.
Shakti Gadi lekar gate par pauchta hain jaha Iccha phela se hi khadi hoti hain.
Iccha gadi mein baithti hain aur shakti gadi lekar chal padta hain.
Shakti puchta hain, Ab kaha jana hain iccha.
Iccha mobile mein bussy hoti hain!!!
Shakti dobara puchta hain, Apne bataya nahi.
Iccha achanak se bolti hain, Haaan.. kya bol raha ho?
Shakti bolta hain, Mein ye puch raha tha ki ab kaha jana hain?
Iccha Jawab deti hain, aahh.. Umaid Bhawan!
Shakti jawab deta hain, Thk hai ji
Iccha puchti hain, Kitna samay lagega?
Shakti jawab deta hain, Ji sirf 15 min.
Iccha, ye sunka dobara apne phone mein bussy ho jati hain.
Shakti ko ab tak bhi kuch samaj nai araha tha ki wo kesa apne dost ki jaan bachayein?
Tabhi Shakti ko ek Idea atta hain aur wo sochta hai ki, kyu na mein sara sach Iccha ko bata du.
Jesa hi wo kuch bolna ko hota hain.
Iccha turant bolti hain, Ruk Jao!!!
Shakti puchta hain, Kyu, Kya hua?
Iccha jawab deti hain, Samne dekho Umaid Bhawan hi hain na ye?
Shakti Dekh kar bolta hain, Ji haan.. Ji haan…
Iccha bolti hain, Tum muja yehi utar do aur jab mera kaam ho jayega tab mein tumha phn kar dungi.
Shakti jawab deta hain, Ji thk hain…
Iccha uttar jati hain aur shakti gadi ko parking mein le jata hain.
Shakti parking mein beth kar sochta hain ki karein tu kya karu. Tabhi usse aisa lagta hain ki koi us par
najar rkha hua hain.
Shakti turant charo taraf dekhta hain, par usse koi najar nahi atta. Lekin phir uski najar gadi pe padti hain
jo gadi usse us kidnapper ne di thi.
Shakti gadi ko bhar se check karna lagta hain aur phir andar ki aur bhi dekhna shuru kar deta hain.
Par Tabhi uska phone dobbara bjata hain….
Phone ki ghanta sunta hi Shakti ghabra jata hain aur Dheere se phone uthata hain aur dari hui awaz
mein.
Shakti Bolta hain, Hello..Hello
Karib 5 sec baad samne se computerizes voice ki awaaz aati hain,
Computrized Voice, kyu Dar gaya kya?
Shakti jawab deta hai, Nahi!
Computrzed Voice Puchti hain, Gadi mein kya dhoond raha ho? Kaam pe dhyan do kaam pe, adhaa din
nikal gaya hain, Kuch socha kesa maroge ya mein batau jaan se kesa marte hain.
Shakti darte hua jawab deta hain, Nahi..Nahi…mere dost kuch mat karna. Mein kuch sochta hu.
Computrized Voice bolti hain, Jitna jaldi sochloge utna acha hain varna jo bura hoga uska tumhe pata
hain. Meri najar tum par hi hain. Kuch bhi ulta seedha socha toh tum janta ho mein kya karunga.
Shakti bolta hain, Muja ek baar apne dost se baat karni hain.
Computrized voice jawab deti hain, Baat to nahi ho payegi par uska zinda hona ka sabot bhaut jald
tumha mil jayega.
Phone call cut ho jati hain.
Is call ke baad shakti ko ek baat to samaj ajati hain ki koi uspar aur Iccha par najar rakh raha hain.
Shakti chup chap gadi mein baith jata hain aur sari batein ek paper mein likh deta hain aur us paper ko
apni Jab mein rakh leta hain.
Thodi der baad Shakti ke phn pe ek image ata hain, jisme Mohan Ek chair pe bandha hua hain aur uska
pecha wali dewar par ek digital clock ha, JIsme aaj ki date aur time najar araha tha.
Shakti us photo ko dhyan se dekh pata, Itna mein ek msg aur aataa hain.
Msg- Tumhara pass sirf aur sirf 6 ghante bacha hain. Abki baar wo ayein to usse jaan se maar dena aur
iske liya hathiyaar mein tumha de raha hu, Tumhari Gadi ke dashboard mein ek loaded gun rakhi hain.
Shakti dashboard check karta hain, Aur usme sahi mein use ek gun milti hain.
Shakti gun ko dekh kar darr jata hain aur wo us dashboard ko wohi band kar deta hain.
Isse phela ki shakti kuch soch pata. Iccha achanak se gadi mein akar baith jati hain aur gadi ke sear cover
me se gun nikal ke uske tarf gun point kar deti hain.
Thodi der baad Gunshot ki awaj aati hain….

