Introduction-
Yeh kahani hain Rajasthan ke Jodhpur mein ek middle class family mein paida hua ladke "shakti pathak,
ki, jo jodhpur mein ek Welcome tour n travels mein tour guide ka kaam karta tha aur London se ayi ek
ameer gharane ki ladki Iccha srivastav ki hain. Iccha apne college project ke liya Indian tradition par ek
documentary bananey London se India ayyi thi. Yeh dono pehli baar Airport par miley, lekin inha kya
pata tha ki milna ke baad inka safar maut ka safar ban jayega jisme na to koi lifeline hogi na hi quit
karne ka option!!!
Episode 1-
"Sunsaan Sadak par tej hawa aur patto ki awaj"
Raat ke karib 10:15 baja Shakti jab tehaltey hua apne ghar ki aur ja raha tha, tabhi samne wali khali gali
se kuttey bhokna shuru kar deta hain. Shakti ko thoda dar lagna lagta hain, jab wo dekhta hain ki kuttey
lagataar bhok raha hain, lekin stithi aur bhi daravni ho jati hain jab usey lagta hain ki koi anjaan shaksh
uska peecha kar raha hai wo bhi hath mein talvaar lekar. Usne peecha mudna ki koshish ki lekin isse
phela ki wo peecha mudkar dekhta achanak ullu ki awaj ne usse buri tarah dara diya aur wo apne ghar ki
aur bhagne laga aur jesa hi wo apne ghar paucha usne sare khidki aur darwaje band kar liya.
Thodi der baad jab uska mann shant hua aur usne pani ka glass uthaya, tabhi achanak door bell baji
(doorbell sound) aur yeh sunka shakti ke hatho se paani ka glass chooth gaya.
Dabi hui awaz mein shakti ne poocha, kaun?
Koi jawab nai aya, bas doorbell bajey ja rahi thi. Tabhi wo dhere dhere darwaje ki taraf gaya aur usne
zor se pucha kaun hai ?
Tabhi bhar se awaj ayi, Shakti bro mein hun "Mohan"
(Mohan aur Shakti ek hi tour & travels company mein kaam Karte tha)
Shakti ne jaldi se darwaza khola aur usse apne gala se laga liya.
Mohan ne pucha, Kya hua bhai
Shakti ne bola kuch nai bhai bas mein thoda sa ghabra gaya tha.
Mohan haste hua bola, Kya yaar tu hamesha itna darta kyu hain.
Shakti bola, Nai bhai aisa nai hai.
Mohan bola, acha ye sab chod. Muja teri help chaiya.
Shakti ne pucha, Kya hua sab thik hai. Kya help chaiya!
Mohan bola, yaar boss ne kal muja ek client ki responsibility di hain. Jisse kal pura jodhpur ghumana hain
aur mein kal nai ja sakta.
Kya tu meri jagah chala jayega ?
Shakti ne pucha, Kyun kal tuja kya kaam hain?
Mohan haste hua bola, bhai wo kal meri first date hain.
Shakti bola, Sudhar ja nai to kisi din bhaut bura fasega.
Mohan bola, Arey kuch nai hoga yaar, Tu ye bata, kal chale jayega meri jagah ?
Shakti bola, theek hain. Muja details bhej dio. Mein dekh lunga
Mohan khush hokar bola, I love you bhai. You're the best. Mein subha tuja details msg kardunga bas tu 8
baja Airport pauch jana.
ShAKti bola theek hain..
Aur iska baad mohan ape ghar chala jata hain.
Next Morning (Aagli Subah),
Shakti Airport jana ke liya ready ho raha hota hain, Tabhi uskey phone par msg tone bajti hain.
Message kisi unknown number se hota hain. Shakti msg ko open karta hain toh usme usse,
Ladki ka naam -Iccha Srivastav, Flight details aur ek phone number likha milta hain.
Shakti msg padhne ke baad mohan ko call karta hain, par uska phone not reachable araha hota hai.
Shakti khud se bolta hai, Arey yaar ye mohan ka phone lag kyu nai raha hain pata nai kiska no. se details
bheji hain isne.
Mohan ka phone try karte-Karte wo ghar se Airport ke liya nikal jata hai.
Airport pauch kar, wo dobara mohan ko call karta hain, Par is baar uska phone switch off araha hota
hain.
Shakti gusse mein phone kaat deta hain aur visitors ki line mein Ichha ke naam ka board lekar khada ho
jata hain. Karib 1 ghanta intejaar karne ke baad, Shakti flight ke bare mein inquiry karta hain
Shakti Airport staff se puchta hain, Suniya Sir, Yeh London wali flight land ho gayi kya.
Airport Staff jawab deta hain, Ji haan sir wo flight to 1 ghanta phela hi land ho gayi thi
Shakti dobara puchta hain, Kya sabhi passengers bhaar agaya hain?
Airport staff jawab deta hain, yes sir.
Yeh sunkar, Shakti wapas apni gadi ki aur jana lagta hain, Tabhi peecha se awaj aati hain.
Iccha cheekta hua puchti hain, Arey yaha koi Welcome tour & travels se hain ?
Shakti peecha mudkar dekhta hain ki, Ek bhaut hi khubsoorat aur natkhat si chulbuli ladki poore Airport
par chilla rahi hoti hain.
Tabhi Shakti jor se hath uthata hain aur bolta hai,
Mein yaha par hu, Hello Iccha madam.
Uskey baad dono milta hain.
Shakti bolta hain, Welcome to Jodhpur mam,
Iccha jawab deti hain, Thank you, Aur yaar ye mam mat bolo. Mera naam Iccha hai tum muja mere naam
se bulao.
Shakti jawab deta hain, Thik hain.
Iccha puchti hain, Tumhara kya naam hain?
Shakti jawab deta hain, Mera naam Shakti Pathak hain mam! Oh mera matlab Iccha.
Iccha jawab deti hain, Nice to meet you Shakti.
Iccha puchti hain, Par jaha tak muja yaad hai, Muja koi Mohan naam se receive karne walla tha.
Shakti jawab deta hain, Ji haan par last moment pe usse kuch kaam agaya tha isliya uski jagah mein
agaya.
Iccha bolti hain, Achaa. Chalo koi na issi bhanney aaj aap hamare sath ghum lenge.
Shakti haste hua puchta hain ab chaley.
Iccha jawab deti hai, Haan yaar sabse phele hotel chalo phir waha se muja bhaut sari jagah jana hain.
Shakti Iccha ka samaan Gadi mein rakhta hain aur dono Hotel ki liya nikal jata hain.
Hotel Pauchney ke Baad
Iccha shakti se bolti hai , Bas 10 min ruko mein abhi change karke aati hun.
Shakti jawab deta hain, Thik ha.
Itna shakti apni gadi saaf karne lagta hain. Tabhi uska phone ki msg tone bajti hain
Shakti phone pe check karta hai aur dekhta hai ussi no. se msg aya hua hai
Msg- Kya Iccha ko receive kar liya Airport se.
Shakti reply karta hai, Haan. Par tuja kitna call kiya, tera phn kaha hai aur yeh kiska number hain.
Dobara Msg tone bajta hain.
Shakti msg check karta hai aur dekhta hai
Msg- Apni gadi me mat jana hotel ki parking mein 2420 number ki white Swift Dezire khadi hain usme
jana.
Shakti reply karta hai, Ab ye kya drama hai mein toh apni gadi se hi jaunga aur tuja phone karne mein
kya dikkat hain, baar baar msg kyu kar raha hain.
Ek baar phir se msg tone bajti hain.
Shakti is baar irritate ho jata hain aur gusse mein mein phone nikalta hain. To kya dekhta hai, Is baar msg
nai ek video aayi hain.
Jab wo video khoke dekhta hain to uske hosh udd jaatein hain.
Video mein uska dost ek chair se bandha hua hain aur uski bodi par Bomb laga hua hain.
Video dekhke shakti call hi karne walla hota hain. Tabhi msg ki tone bajti hain.Wo jaldi se check karta
hain
Msg- Ab to parking mein khadi 2420 number ki white Swift Dezire gadi se hi jaoge ya tumhara dost ko
jaan se maar du. Aur haan muja call karne ki jarurat nai hain mein tumha msg karunga. Ek baat aur us
ladki (Iccha) aur Police ko kuch bhi bataya to toh tumhara dost gaya.
Ye Msg dekhkar shakti buri tarah ghabra jata hain. Wo kuch soch nai pata , Itne mein Iccha usse awaj
lagati hain.
Iccha, Chlein Shakti, Muja late ho raha hain!
Shakti ghabraya hua jawab deta hain, Ji haan, Ek min mein gadi lekar ata hu parking se.
Iccha puchti hain, Par tumhari gadi ye rahi.
Shakti ghabrate hua sochte sochte jawab deta hain, Wo dusri gadi company ne bheji hai. Actually, is gadi
ke engine mein kuch dikkat arahi thi. Toh isliya mena dusri gadi mangwali.
Iccha jawab deti hai, Okay. To ab chalein
Shakti jawab deta hain , Ji haan.
Iccha dusri gadi mein bethti hai aur bolti hain chalo Mehrangarh Fort jana hain.
Shakti bina kuch poocha chal deta hain.
Iccha ussey poochti hain, Aur tumhare ghar mein kaun kaun hain?
Shakti ghabrate hua jawab deta hain, Meri family mein sirf mera ek dost hain.
Iccha puchti hain, Tumhare Parents?
Shakti jawab deta hain, Wo do saal phela ek car accident mein gujar gaya.
Iccha jawab deti hain, Oh I am so sorry!!!
Iccha dobara puchti hain, Kya hua shakti thoda se pareshaan lag raha ho.
Shakti turant jawab deta hain, Nahi toh!
Tabhi Iccha ka phone bajna start ho jata hain, Iccha excitement mein phone uthati hain aur bolti hain, Hi
my lovely sister...
Itna Shakti ke phn pe msg atta hain, Shakti turant msg check karta hain. To usme usey ek video milti
hain.
Shakti turant ear phones lagata hain aur Video dekhta hain.
Video mein, Mohan Jor Jor se cheekh raha hain aur bol raha hain Shakti muja bacha le. Please.
Computerized voice-Agar tumha apney dost ki zindagi pyaari hai to tumhey Iccha ko marna hoga.
Part 1 End. Part 2 To be continued……

